wajd mein zabta-e-raqs nahin TuTega
vajd meñ zābta-e-raqs nahīñ TūTegā
kuchh bhī ho silsila-e-raqs nahīñ TūTegā
aa ga.e na.ara-e-mastāna lagāne vaale
ab kabhī qā.eda-e-raqs nahīñ TūTegā
raqs-e-darvesh meñ darvesh hī shāmil hoñge
aur koī zāviya-e-raqs nahīñ TūTegā
ḳhirqa-poshoñ se kaho aaya hai phir mausam-e-raqs
ya.anī ab hausla-e-raqs nahīñ TūTegā
kū-e-jānāñ se ham āshufta-mizājoñ kā kabhī
sāthiyo rābta-e-raqs nahīñ TūTegā
raqs-e-darvesh hai ye ġhamza-e-raqqās nahīñ
dosto dā.era-e-raqs nahīñ TūTegā
dil kī pāzeb kī jhankār meñ kho bhī jaao
zindagī bhar nasha-e-raqs nahīñ TūTegā
'hāshmī' raqs vo āġhāz kiyā hai ham ne
ab kabhī silsila-e-raqs nahīñ TūTegā
wajd mein zabta-e-raqs nahin TuTega
kuchh bhi ho silsila-e-raqs nahin TuTega
aa gae nara-e-mastana lagane wale
ab kabhi qaeda-e-raqs nahin TuTega
raqs-e-darwesh mein darwesh hi shamil honge
aur koi zawiya-e-raqs nahin TuTega
KHirqa-poshon se kaho aaya hai phir mausam-e-raqs
yani ab hausla-e-raqs nahin TuTega
ku-e-jaanan se hum aashufta-mizajon ka kabhi
sathiyo rabta-e-raqs nahin TuTega
raqs-e-darwesh hai ye ghamza-e-raqqas nahin
dosto daera-e-raqs nahin TuTega
dil ki pazeb ki jhankar mein kho bhi jao
zindagi bhar nasha-e-raqs nahin TuTega
'hashmi' raqs wo aaghaz kiya hai hum ne
ab kabhi silsila-e-raqs nahin TuTega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.