wajh-e-qarar-o-rahat-e-dil-zadagan hai tu ki main
vaj.h-e-qarār-o-rāhat-e-dil-zadagāñ hai tū ki maiñ
lafz-e-yaqīñ hai tū ki maiñ harf-e-gumāñ hai tū ki maiñ
terā bhī āstāñ vahī merā bhī āshiyāñ vahī
us kī sahar hai tū ki maiñ us kī azaañ hai tū ki maiñ
jis kī tarāsh ke liye ḳhud ko lahū lahū kiyā
ab usī rahguzār kā sañg-e-girāñ hai tū ki maiñ
apnī ḳhabar se be-ḳhabar apnī hī zaat se mafar
apnī hī dāstāñ kā ik harf-e-ziyāñ hai tū ki maiñ
jis kī nazar meñ ḳhaar hai arz-e-vatan kī aabrū
us kā hadaf hai tū ki maiñ us kī kamāñ hai tū ki maiñ
wajh-e-qarar-o-rahat-e-dil-zadagan hai tu ki main
lafz-e-yaqin hai tu ki main harf-e-guman hai tu ki main
tera bhi aastan wahi mera bhi aashiyan wahi
us ki sahar hai tu ki main us ki azan hai tu ki main
jis ki tarash ke liye KHud ko lahu lahu kiya
ab usi rahguzar ka sang-e-giran hai tu ki main
apni KHabar se be-KHabar apni hi zat se mafar
apni hi dastan ka ek harf-e-ziyan hai tu ki main
jis ki nazar mein KHar hai arz-e-watan ki aabru
us ka hadaf hai tu ki main us ki kaman hai tu ki main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.