wajh-e-rangini-e-hayat gai
vaj.h-e-rañgīnī-e-hayāt ga.ī
tum ga.e saarī kā.enāt ga.ī
mausam-e-gul hai fasl-e-jāma-darī
ehtiyāj-e-takallufāt ga.ī
jab se lazzat-kash-e-jafā hai dil
hājat-e-chashm-e-iltifāt ga.ī
sub.h tak muntazir rahe anjum
tum na aa.e tamām raat ga.ī
baḌh gayā aur rañg-e-istiġhnā
dard-e-dil kah ke apnī baat ga.ī
un kī āñkhoñ se Dhal paḌe aañsū
māya-e-husn kī zakāt ga.ī
lab-e-naushīn-e-yār kī ḳhātir
dil se shīrīni-e-hayāt ga.ī
āshiqī ke qimār-ḳhāne meñ
jo bhī baazī lagā.ī maat ga.ī
wajh-e-rangini-e-hayat gai
tum gae sari kaenat gai
mausam-e-gul hai fasl-e-jama-dari
ehtiyaj-e-takallufat gai
jab se lazzat-kash-e-jafa hai dil
hajat-e-chashm-e-iltifat gai
subh tak muntazir rahe anjum
tum na aae tamam raat gai
baDh gaya aur rang-e-istighna
dard-e-dil kah ke apni baat gai
un ki aankhon se Dhal paDe aansu
maya-e-husn ki zakat gai
lab-e-naushin-e-yar ki KHatir
dil se shirini-e-hayat gai
aashiqi ke qimar-KHane mein
jo bhi bazi lagai mat gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.