wajud-e-barq zaruri hai gulsitan ke liye
vajūd-e-barq zarūrī hai gulsitāñ ke liye
payām laatī hai tā'mīr āshiyāñ ke liye
azal se tā-ba-qayāmat sukūñ nahīñ miltā
mire nasīb kī gardish hai āsmāñ ke liye
ye aur baat hai phūloñ kā tañg dāman hai
bahāreñ phirtī haiñ betāb gulsitāñ ke liye
na pūchh hāl-e-dil-e-zār ham-nashīñ mujh se
kaleja chāhiye patthar kā rāzdāñ ke liye
mirā aur un kā ta'alluq hai is tarah jaise
zabāñ dahan ke liye hai dahan zabāñ ke liye
mirī jabīñ se tirā āstāñ na chhūTegā
ki ye banī hai tire sañg-e-āstāñ ke liye
ġhazab huā unhīñ tinkoñ pe gir paḌī bijlī
jinheñ sañbhāl ke rakkhā thā āshiyāñ ke liye
tirī talab meñ phirātā hai mujh ko dasht-ba-dasht
vo zauq-o-shauq jo rahbar hai kārvāñ ke liye
ḳhudā ke sāmne jaanā paḌegā ḳhālī haath
ki 'shams' jam.a na kar paa.e kuchh vahāñ ke liye
wajud-e-barq zaruri hai gulsitan ke liye
payam lati hai ta'mir aashiyan ke liye
azal se ta-ba-qayamat sukun nahin milta
mere nasib ki gardish hai aasman ke liye
ye aur baat hai phulon ka tang daman hai
bahaaren phirti hain betab gulsitan ke liye
na puchh haal-e-dil-e-zar ham-nashin mujh se
kaleja chahiye patthar ka raazdan ke liye
mera aur un ka ta'alluq hai is tarah jaise
zaban dahan ke liye hai dahan zaban ke liye
meri jabin se tera aastan na chhuTega
ki ye bani hai tere sang-e-astan ke liye
ghazab hua unhin tinkon pe gir paDi bijli
jinhen sanbhaal ke rakkha tha aashiyan ke liye
teri talab mein phiraata hai mujh ko dasht-ba-dasht
wo zauq-o-shauq jo rahbar hai karwan ke liye
KHuda ke samne jaana paDega KHali hath
ki 'shams' jama na kar pae kuchh wahan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.