wajud-e-be-haqiqat par na itna shadman hota
wajud-e-be-haqiqat par na itna shadman hota
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
vajūd-e-be-haqīqat par na itnā shādmāñ hotā
jo asrār-e-haqīqat kā bhī insāñ rāz-dāñ hotā
mujhe terī ḳhushī thī kyoñ ġham-e-sūd-o-ziyāñ hotā
tire hote jo ye hotā to jiinā rā.egāñ hotā
chaman meñ in kī barbādī pe kahiye maiñ kahāñ hotā
agar in chaar tinkoñ par madār-e-āshiyāñ hotā
mujhe parvā nahīñ hotī to ye sab kuchh kahāñ hotā
kidhar daur-e-bahār aatī kahāñ roz-e-ḳhizāñ hotā
na.e andāz se kuchh shikva-e-jaur-e-butāñ hotā
na.ī tarz-e-fuġhāñ hotī nayā rang-e-bayāñ hotā
vufūr-e-shauq-e-sajda meñ kahāñ sar phoḌte jā kar
jo apne sāmne un kā na sang-e-āstāñ hotā
ḳhizāñ kā daur hī rahtā to achchhā thā chaman vaalo
na gulshan meñ bahār aatī na koī bad-gumāñ hotā
masā.ib kā zamāna aatā jaatā hai to achchhā hai
azāb-e-zindagī hotā agar ye jāvedāñ hotā
ye saarā apnī kamzorī se daur-e-nā-tavānī hai
buḌhāpā aa ke kyā letā agar azm-e-javāñ hotā
miTā le āsmāñ be-sarparastī bazm-e-hastī hai
tirī piirī nahīñ chaltī agar pīr-e-muġhāñ hotā
ḳhayāl aatā hai jab duniyā mirī bātoñ pe hañstī hai
jahān-e-zīst meñ apnā bhī koī rāzdāñ hotā
burā.ī se agar dāman ko 'ḳhushtar' ham bachā lete
to is tāmīr-e-nau se daur-e-ḳhush-hālī ayaañ hotā
wajud-e-be-haqiqat par na itna shadman hota
jo asrar-e-haqiqat ka bhi insan raaz-dan hota
mujhe teri KHushi thi kyon gham-e-sud-o-ziyan hota
tere hote jo ye hota to jina raegan hota
chaman mein in ki barbaadi pe kahiye main kahan hota
agar in chaar tinkon par madar-e-ashiyan hota
mujhe parwa nahin hoti to ye sab kuchh kahan hota
kidhar daur-e-bahaar aati kahan roz-e-KHizan hota
nae andaz se kuchh shikwa-e-jaur-e-butan hota
nai tarz-e-fughan hoti naya rang-e-bayan hota
wufur-e-shauq-e-sajda mein kahan sar phoDte ja kar
jo apne samne un ka na sang-e-astan hota
KHizan ka daur hi rahta to achchha tha chaman walo
na gulshan mein bahaar aati na koi bad-guman hota
masaib ka zamana aata jata hai to achchha hai
azab-e-zindagi hota agar ye jawedan hota
ye sara apni kamzori se daur-e-na-tawani hai
buDhapa aa ke kya leta agar azm-e-jawan hota
miTa le aasman be-sarparasti bazm-e-hasti hai
teri piri nahin chalti agar pir-e-mughan hota
KHayal aata hai jab duniya meri baaton pe hansti hai
jahan-e-zist mein apna bhi koi raazdan hota
burai se agar daman ko 'KHushtar' hum bacha lete
to is tamir-e-nau se daur-e-KHush-haali ayan hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.