wajud-e-dil ke darwazon ki kunji kaun rakhta hai
vajūd-e-dil ke darvāzoñ kī kunjī kaun rakhtā hai
faqīroñ ke barābar ganj-e-maḳhfī kaun rakhtā hai
vahāñ pahuñchā diyā hai mujh ko añgusht-e-tafakkur ne
jahāñ mere sivā yād-e-ilāhī kaun rakhtā hai
ye qatra kaun hai ye naqsh-e-uryāñ biij hai kis kā
badan meñ sañg-e-buniyād-e-ma.ānī kaun rakhtā hai
jalā kar ḳhair ashyā ko tanūr-e-chashm-e-hastī meñ
nazar koī baqā par itnī gahrī kaun rakhtā hai
lahū sahbā badan mīnā-e-ḳhākī ban gayā 'kāvish'
zarā dekho to yuuñ faizān-e-sāqī kaun rakhtā hai
wajud-e-dil ke darwazon ki kunji kaun rakhta hai
faqiron ke barabar ganj-e-maKHfi kaun rakhta hai
wahan pahuncha diya hai mujh ko angusht-e-tafakkur ne
jahan mere siwa yaad-e-ilahi kaun rakhta hai
ye qatra kaun hai ye naqsh-e-uryan bij hai kis ka
badan mein sang-e-buniyaad-e-maani kaun rakhta hai
jala kar KHair ashya ko tanur-e-chashm-e-hasti mein
nazar koi baqa par itni gahri kaun rakhta hai
lahu sahba badan mina-e-KHaki ban gaya 'kawish'
zara dekho to yun faizan-e-saqi kaun rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.