wajud ka inhisar go KHak par nahin tha
vajūd kā inhisār go ḳhaak par nahīñ thā
magar maiñ apnī zamīñ se be-ḳhabar nahīñ thā
ajab tarah kā tilism thā is mafāriqat meñ
badan laraztā thā aur āñkhoñ meñ Dar nahīñ thā
lahū se maiñ ne diye kī lau sarfarāz rakkhī
vahāñ jahāñ par havāoñ kā bhī guzar nahīñ thā
magar bahut der baad jā kar ḳhabar huī thī
vo mere hamrāh thā mirā ham-safar nahīñ thā
so maiñ ne āḳhir laraztā pattā hadaf banāyā
ki vo parinda to aaj bhī shāḳh par nahīñ thā
wajud ka inhisar go KHak par nahin tha
magar main apni zamin se be-KHabar nahin tha
ajab tarah ka tilism tha is mafariqat mein
badan larazta tha aur aankhon mein Dar nahin tha
lahu se main ne diye ki lau sarfaraaz rakkhi
wahan jahan par hawaon ka bhi guzar nahin tha
magar bahut der baad ja kar KHabar hui thi
wo mere hamrah tha mera ham-safar nahin tha
so main ne aaKHir larazta patta hadaf banaya
ki wo parinda to aaj bhi shaKH par nahin tha
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 637)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.