wajud us se hamara kahin juda na lage
vajūd us se hamārā kahīñ judā na lage
vo saath saath rahe aur hameñ patā na lage
vaqār meñ jo izāfa hai aap ko manzūr
sañbhal ke chaliye jahāñ kī kahīñ havā na lage
fareb-o-makr pe in.aam log paate haiñ
maiñ baat sach bhī kahūñ aur tāziyāna lage
hamārī zaat se pahle gurez thā us ko
ab e'tirāf-e-navāzish use burā na lage
ilāhī tujh se guzārish hai baar baar yahī
mire sanam ko kisī kī bhī badduā na lage
jazīra dil kā hai suunā tumhārī yaad baġhair
chale bhī aao ki mausam baḌā suhānā lage
vo bhuul saktā hai ai 'dāġh' mujh ko jald magar
use bhulāne meñ shāyad mujhe zamāna lage
wajud us se hamara kahin juda na lage
wo sath sath rahe aur hamein pata na lage
waqar mein jo izafa hai aap ko manzur
sanbhal ke chaliye jahan ki kahin hawa na lage
fareb-o-makr pe inam log pate hain
main baat sach bhi kahun aur taziyana lage
hamari zat se pahle gurez tha us ko
ab e'tiraf-e-nawazish use bura na lage
ilahi tujh se guzarish hai bar bar yahi
mere sanam ko kisi ki bhi baddua na lage
jazira dil ka hai suna tumhaari yaad baghair
chale bhi aao ki mausam baDa suhana lage
wo bhul sakta hai ai 'dagh' mujh ko jald magar
use bhulane mein shayad mujhe zamana lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.