walwala dil ka baDha zulf-e-dota ko dekh kar
walwala dil ka baDha zulf-e-dota ko dekh kar
Riyaz Hasan Khan Khayal
MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal
valvala dil kā baḌhā zulf-e-dotā ko dekh kar
mast mai-kash ho gayā kaalī ghaTā ko dekh kar
shaad hai yuuñ dil nigāh-e-dil-rubā ko dekh kar
āshnā jis tarah ḳhush ho āshnā ko dekh kar
allah allah ye taḌap is tarah kī vāraftagī
dilrubā ḳhud loT hai dil kī adā ko dekh kar
kahte haiñ vo hashr ke din kaun hogā dād-ḳhvāh
yaad rah saktā hai kab banda ḳhudā ko dekh kar
tum kahāñ se aa rahe ho aise ghabrā.e hue
kyā kaheñge dushman is chāk-e-qabā ko dekh kar
phir chalā aatā hai nāseh maġhz khāne ke liye
kaañp jaatā hai mirā dil is balā ko dekh kar
us galī kā josh-e-vahshat meñ pata miltā na thā
khul ga.iiñ āñkheñ sī tere naqsh-e-pā ko dekh kar
paḌ ga.ī thī tere dil meñ jo girah vo khul paḌī
vā huā ye uqda vā band-e-qabā ko dekh kar
kūcha-e-aġhyār meñ ye be-ḳhudī kaisī 'ḳhayāl'
uḌ ga.e ausān kis ke naqsh-e-pā ko dekh kar
walwala dil ka baDha zulf-e-dota ko dekh kar
mast mai-kash ho gaya kali ghaTa ko dekh kar
shad hai yun dil nigah-e-dil-ruba ko dekh kar
aashna jis tarah KHush ho aashna ko dekh kar
allah allah ye taDap is tarah ki waraftagi
dilruba KHud loT hai dil ki ada ko dekh kar
kahte hain wo hashr ke din kaun hoga dad-KHwah
yaad rah sakta hai kab banda KHuda ko dekh kar
tum kahan se aa rahe ho aise ghabrae hue
kya kahenge dushman is chaak-e-qaba ko dekh kar
phir chala aata hai naseh maghz khane ke liye
kanp jata hai mera dil is bala ko dekh kar
us gali ka josh-e-wahshat mein pata milta na tha
khul gain aankhen si tere naqsh-e-pa ko dekh kar
paD gai thi tere dil mein jo girah wo khul paDi
wa hua ye uqda wa band-e-qaba ko dekh kar
kucha-e-aghyar mein ye be-KHudi kaisi 'KHayal'
uD gae ausan kis ke naqsh-e-pa ko dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.