waqar-e-zabt yahi dil ko dil bana ke raha
vaqār-e-zabt yahī dil ko dil banā ke rahā
jahāñ se dard uThā thā vahīñ samā ke rahā
mizāj-e-yār tujhe kyoñ vo e.atibār thā shaaq
ye aa.e din kā talavvun jise miTā ke rahā
havā ke ruḳh pe sañbhal kar chalī to thī kashtī
magar vo ruḳh thā ki tūfān hī uThā ke rahā
malāl ko thī ye zid ab tirā ḳhayāl na aa.e
ḳhayāl aa ke rahā aur malāl jā ke rahā
tum apne saath zamāne ko le ke badle ho
'razā' bhī badlā magar paas kyā 'razā' ke rahā
waqar-e-zabt yahi dil ko dil bana ke raha
jahan se dard uTha tha wahin sama ke raha
mizaj-e-yar tujhe kyon wo eatibar tha shaq
ye aae din ka talawwun jise miTa ke raha
hawa ke ruKH pe sanbhal kar chali to thi kashti
magar wo ruKH tha ki tufan hi uTha ke raha
malal ko thi ye zid ab tera KHayal na aae
KHayal aa ke raha aur malal ja ke raha
tum apne sath zamane ko le ke badle ho
'raza' bhi badla magar pas kya 'raza' ke raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.