Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqf-e-nigah-e-naz mera dil na ho saka

Haqqi Hazeen

waqf-e-nigah-e-naz mera dil na ho saka

Haqqi Hazeen

MORE BYHaqqi Hazeen

    vaqf-e-nigāh-e-nāz mirā dil na ho sakā

    ye aa.ina bhī un ke muqābil na ho sakā

    āshuftagī-e-'ishq hāmil na ho sakā

    yā'nī koī harīf-e-ġham-e-dil na ho sakā

    be-gāngī-e-'ishq 'ālam na pūchhiye

    koī sharīk-e-bekasī-e-dil na ho sakā

    jis meñ ki terī yaad se ġhāfil rahā huuñ maiñ

    vo lamha merī ziist meñ shāmil na ho sakā

    kānoñ meñ itne paas se aa.ī sadā-e-dost

    mujh ko yaqīn-e-dūrī-e-manzil na ho sakā

    jab tak junūn-e-'ishq shorish na miT ga.ī

    dil un bazm-e-nāz ke qābil na ho sakā

    yuuñ to ḳhushī bhī qabza-e-qudrat meñ thī magar

    ġham ke baġhair takmila-e-dil na ho sakā

    waqf-e-nigah-e-naz mera dil na ho saka

    ye aaina bhi un ke muqabil na ho saka

    aashuftagi-e-'ishq ka hamil na ho saka

    ya'ni koi harif-e-gham-e-dil na ho saka

    be-gangi-e-'ishq ka 'alam na puchhiye

    koi sharik-e-bekasi-e-dil na ho saka

    jis mein ki teri yaad se ghafil raha hun main

    wo lamha meri zist mein shamil na ho saka

    kanon mein itne pas se aai sada-e-dost

    mujh ko yaqin-e-duri-e-manzil na ho saka

    jab tak junun-e-'ishq ki shorish na miT gai

    dil un ki bazm-e-naz ke qabil na ho saka

    yun to KHushi bhi qabza-e-qudrat mein thi magar

    gham ke baghair takmila-e-dil na ho saka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now