waqf kar di zindagi sab ne zamane ke liye
vaqf kar dī zindagī sab ne zamāne ke liye
ab kise fursat kisī se dil lagāne ke liye
talḳhiyāñ ḳhūn-e-jigar kī shā'irī meñ ghol kar
chand misre' laa.eñ haiñ ham bhī sunāne ke liye
bhaap ban kar uḌ ga.e jo log paanī kī tarah
aag se khelā kiye the āshiyāne ke liye
kuchh to merī chāhatoñ kā vo bharam rakhtā bhalā
ek rasta chhoḌ detā aane jaane ke liye
waqf kar di zindagi sab ne zamane ke liye
ab kise fursat kisi se dil lagane ke liye
talKHiyan KHun-e-jigar ki sha'iri mein ghol kar
chand misre' laen hain hum bhi sunane ke liye
bhap ban kar uD gae jo log pani ki tarah
aag se khela kiye the aashiyane ke liye
kuchh to meri chahaton ka wo bharam rakhta bhala
ek rasta chhoD deta aane jaane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.