waqt aaKHir le gaya wo shoKHiyan wo bankpan
vaqt āḳhir le gayā vo shoḳhiyāñ vo bāñkpan
phuul se chehre the kitne aur the nāzuk badan
log rakhte haiñ diloñ meñ ātish-e-buġhz-o-hasad
aur phir karte haiñ shikva jal rahā hai tan badan
chal paḌe jab jānib-e-manzil to phir ai ham-safar
kyā safar kī mushkileñ kyā dūriyāñ kaisī thakan
ham nahīñ toḌeñge apnā ittifāq-o-ittihād
kar chuke haiñ faisla ye ab sabhī ahl-e-vatan
un kī sāzish hai ki bas nām-e-vafā miTtā rahe
merī koshish hai phale-phūle vafāoñ kā chalan
jashn hogā phir vafā kā dostī kā ek din
phir sajegī pyaar ke ehsās kī ik anjuman
jo bhī haiñ 'shāyān' ahl-e-zarf un ko ḳhauf kyā
un ke aage sar-nigūñ haiñ vaqt ke dār-o-rasan
waqt aaKHir le gaya wo shoKHiyan wo bankpan
phul se chehre the kitne aur the nazuk badan
log rakhte hain dilon mein aatish-e-bughz-o-hasad
aur phir karte hain shikwa jal raha hai tan badan
chal paDe jab jaanib-e-manzil to phir ai ham-safar
kya safar ki mushkilen kya duriyan kaisi thakan
hum nahin toDenge apna ittifaq-o-ittihad
kar chuke hain faisla ye ab sabhi ahl-e-watan
un ki sazish hai ki bas nam-e-wafa miTta rahe
meri koshish hai phale-phule wafaon ka chalan
jashn hoga phir wafa ka dosti ka ek din
phir sajegi pyar ke ehsas ki ek anjuman
jo bhi hain 'shayan' ahl-e-zarf un ko KHauf kya
un ke aage sar-nigun hain waqt ke dar-o-rasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.