waqt abhi paida na hua tha tum bhi raaz mein the
vaqt abhī paidā na huā thā tum bhī raaz meñ the
ek shikasta sannāTā thā ham āġhāz meñ the
un se pyaar kiyā jin par ḳhāmoshī nāzil kī
un par zulm kiyā jo band apnī āvāz meñ the
har qaidī par āzādī kī had jaarī kar dī
hoñToñ kā ejaaz hue jo naġhme saaz meñ the
habs thā koī sub.h farozāñ hone vaalī thī
shaam qadam-bosī par thī saa.e parvāz meñ the
jis ne ḳhuun meñ ġhusl kiyā aur aag meñ raqs kiyā
haif ki saare hañgāme us ke ezaaz meñ the
waqt abhi paida na hua tha tum bhi raaz mein the
ek shikasta sannaTa tha hum aaghaz mein the
un se pyar kiya jin par KHamoshi nazil ki
un par zulm kiya jo band apni aawaz mein the
har qaidi par aazadi ki had jari kar di
honTon ka ejaz hue jo naghme saz mein the
habs tha koi subh farozan hone wali thi
sham qadam-bosi par thi sae parwaz mein the
jis ne KHun mein ghusl kiya aur aag mein raqs kiya
haif ki sare hangame us ke ezaz mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.