waqt-be-waqt dilbari karna
vaqt-be-vaqt dilbarī karnā
tum se sīkhā hai bas yahī karnā
terī āñkhoñ tere chehre ko
bhar ke āñkhoñ meñ raushnī karnā
us se pūchhūñ vafā kā jo matlab
mujh se kahtā hai shā.irī karnā
dar-ba-dar ho ke chāñd ne jaanā
kaisā lagtā hai chāñdnī karnā
kitnā mushkil hai dekho jiine meñ
saañs lene ko zindagī karnā
waqt-be-waqt dilbari karna
tum se sikha hai bas yahi karna
teri aankhon tere chehre ko
bhar ke aankhon mein raushni karna
us se puchhun wafa ka jo matlab
mujh se kahta hai shairi karna
dar-ba-dar ho ke chand ne jaana
kaisa lagta hai chandni karna
kitna mushkil hai dekho jine mein
sans lene ko zindagi karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.