waqt-e-aKHir kaam jazb-e-na-tamam aaya to kya
vaqt-e-āḳhir kaam jazb-e-nā-tamām aayā to kyā
hichkiyoñ kī shakl meñ un kā payām aayā to kyā
rah ga.ī rindoñ meñ jab sāġhar uThāne kī na taab
ab taġhāful-āshnā sāqī-ba-jām aayā to kyā
vaqt hī par le ke ubhregā payām-e-sub.h-e-nau
Dūbte sūraj ko tāroñ kā salām aayā to kyā
lutf to jab hai ki jalva ho ba-qadr-e-zarf-e-dīd
ban ke barq-e-tūr vo bālā-e-bām aayā to kyā
āftāb-e-sub.h ishrat kī ziyā.eñ aur haiñ
shām-e-ġham le kar agar māh-e-tamām aayā to kyā
mai-kada vīrāñ huā bezār mai-kash ho chuke
ab agar saaqī ba-husn-e-intizām aayā to kyā
rah gayā qaa.em zuleḳhā-e-mohabbat kā vaqār
yūsuf-e-ma.asūm par gar ittihām aayā to kyā
uḌ chukī jab niiñd āñkhoñ se ba-faizān-e-junūñ
ab sahar aa.ī to kyā hangām-e-shām aayā to kyā
baat to jab thī ki rahte hosh meñ apne kalīm
jalva kho jaane pe andāz-e-kalām aayā to kyā
waqt-e-aKHir kaam jazb-e-na-tamam aaya to kya
hichkiyon ki shakl mein un ka payam aaya to kya
rah gai rindon mein jab saghar uThane ki na tab
ab taghaful-ashna saqi-ba-jam aaya to kya
waqt hi par le ke ubhrega payam-e-subh-e-nau
Dubte suraj ko taron ka salam aaya to kya
lutf to jab hai ki jalwa ho ba-qadr-e-zarf-e-did
ban ke barq-e-tur wo baala-e-baam aaya to kya
aaftab-e-subh ishrat ki ziyaen aur hain
sham-e-gham le kar agar mah-e-tamam aaya to kya
mai-kada viran hua bezar mai-kash ho chuke
ab agar saqi ba-husn-e-intizam aaya to kya
rah gaya qaem zuleKHa-e-mohabbat ka waqar
yusuf-e-masum par gar ittiham aaya to kya
uD chuki jab nind aankhon se ba-faizan-e-junun
ab sahar aai to kya hangam-e-sham aaya to kya
baat to jab thi ki rahte hosh mein apne kalim
jalwa kho jaane pe andaz-e-kalam aaya to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.