waqt-e-aKHir maut ke aasar dekh kar
vaqt-e-aḳhīr maut ke āsār dekh kar
ahbāb ro diye ruḳh-e-bīmār dekh kar
dohrāte haiñ vo sab se fasāna kalīm kā
duniyā ko apnā tālib-e-dīdār dekh kar
ek musht-e-par ke haq meñ use kitnī laag thī
sayyād ḳhush hai mujh ko giraftār dekh kar
duniyā ke be-qusūr qayāmat meñ bār-bār
pachhtā rahe haiñ shān-e-gunahgār dekh kar
ahbāb dil ko thaam ke bālīñ se uTh ga.e
baiThā gayā na sūrat-e-bīmār dekh kar
zindān-e-zauq-o-shauq meñ un kā asīr-e-‘ishq
chup-chāp ho gayā dar-o-dīvār dekh kar
'bismil' bhī qatl-gāh meñ dam bhar na ruk sake
chaltī huī kisī kī vo talvār dekh kar
waqt-e-aKHir maut ke aasar dekh kar
ahbab ro diye ruKH-e-bimar dekh kar
dohraate hain wo sab se fasana kalim ka
duniya ko apna talib-e-didar dekh kar
ek musht-e-par ke haq mein use kitni lag thi
sayyaad KHush hai mujh ko giraftar dekh kar
duniya ke be-qusur qayamat mein bar-bar
pachhta rahe hain shan-e-gunahgar dekh kar
ahbab dil ko tham ke baalin se uTh gae
baiTha gaya na surat-e-bimar dekh kar
zindan-e-zauq-o-shauq mein un ka asir-e-‘ishq
chup-chap ho gaya dar-o-diwar dekh kar
'bismil' bhi qatl-gah mein dam bhar na ruk sake
chalti hui kisi ki wo talwar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.