waqt-e-mushkil mein bhi honTon par hansi achchhi lagi
waqt-e-mushkil mein bhi honTon par hansi achchhi lagi
Syed Iqbal Rizvi Sharib
MORE BYSyed Iqbal Rizvi Sharib
vaqt-e-mushkil meñ bhī hoñToñ par hañsī achchhī lagī
mere ḳhāliq ko mirī ye bandagī achchhī lagī
Dho rahā thā bas yūñhī maiñ aaj tak apnā vujūd
tum se mil kar mujh ko apnī zindagī achchhī lagī
bas lihāzan pheñk kar cigarette kināre ho gayā
mujh ko nasl-e-nau kī ye sharmindagī achchhī lagī
lab tumhāre miir kī us pankhuḌī ke misl haiñ
is liye mujh ko merī tishna-labī achchhī lagī
ḳhuun ke rishte hue jab bhī kabhī nazr-e-anā
bhaa.ī ko mahfil meñ bhaa.ī kī kamī achchhī lagī
sūrat-o-sīrat kā vo itnā hasīñ thā imtizāj
ahl-e-dānish ko mirī dīvāngī achchhī lagī
chand urdu lafz bhī shāmil the jumloñ meñ tire
is liye 'shārib' unheñ bolī tirī achchhī lagī
waqt-e-mushkil mein bhi honTon par hansi achchhi lagi
mere KHaliq ko meri ye bandagi achchhi lagi
Dho raha tha bas yunhi main aaj tak apna wujud
tum se mil kar mujh ko apni zindagi achchhi lagi
bas lihazan phenk kar cigarette kinare ho gaya
mujh ko nasl-e-nau ki ye sharmindagi achchhi lagi
lab tumhaare mir ki us pankhuDi ke misl hain
is liye mujh ko meri tishna-labi achchhi lagi
KHun ke rishte hue jab bhi kabhi nazr-e-ana
bhai ko mahfil mein bhai ki kami achchhi lagi
surat-o-sirat ka wo itna hasin tha imtizaj
ahl-e-danish ko meri diwangi achchhi lagi
chand urdu lafz bhi shamil the jumlon mein tere
is liye 'shaarib' unhen boli teri achchhi lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.