waqt-e-ruKHsat jo koi ashk gira hota hai
vaqt-e-ruḳhsat jo koī ashk girā hotā hai
is se andāza-e-tajdīd-e-vafā hotā hai
mujh ko inkār kī aadat hai vagarna sāhib
aap kā hukm durust aur bajā hotā hai
zindagī aañkh jhapakte meñ guzar jaatī hai
kārvāñ vaqt kā tezī se chalā hotā hai
dastakeñ band kivāḌoñ pe diye jaate ho
jabki dar us kā har ik vaqt khulā hotā hai
in lakīroñ meñ sabhī Duub ga.iiñ tadbīreñ
kyā talātum mire hāthoñ meñ likhā hotā hai
rāsta ek hai sab qāfile vāloñ kā magar
uzr manzil pe pahuñchne kā judā hotā hai
ruuh tak jism se is tarah judā hotī hai
jaise qaidī koī zindāñ se rihā hotā hai
kaise kah duuñ ki vo maujūd nahīñ hai 'ādil'
raat din tū jise paane meñ lagā hotā hai
waqt-e-ruKHsat jo koi ashk gira hota hai
is se andaza-e-tajdid-e-wafa hota hai
mujh ko inkar ki aadat hai wagarna sahib
aap ka hukm durust aur baja hota hai
zindagi aankh jhapakte mein guzar jati hai
karwan waqt ka tezi se chala hota hai
dastaken band kiwaDon pe diye jate ho
jabki dar us ka har ek waqt khula hota hai
in lakiron mein sabhi Dub gain tadbiren
kya talatum mere hathon mein likha hota hai
rasta ek hai sab qafile walon ka magar
uzr manzil pe pahunchne ka juda hota hai
ruh tak jism se is tarah juda hoti hai
jaise qaidi koi zindan se riha hota hai
kaise kah dun ki wo maujud nahin hai 'adil'
raat din tu jise pane mein laga hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.