Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt-e-sahar ek aisi uThi raushni ki bas

Tahir Hanfi

waqt-e-sahar ek aisi uThi raushni ki bas

Tahir Hanfi

MORE BYTahir Hanfi

    vaqt-e-sahar ik aisī uThī raushnī ki bas

    jis aañkh ne bhī dekhā yuuñ chuñdhiyā ga.ī ki bas

    bhar ke is ke baad kiyā raqs maut ne

    jaage huoñ ko sub.h ko niiñd aa ga.ī ki bas

    vahshat mire mizāj hissa na ban sakī

    purvā.iyāñ sameT ke kahne lagī ki bas

    mujh pe karam to hotā rahā rab baar baar

    bā-vasf us ke sharm jo aatī rahī ki bas

    bil-āḳhir apnī āñkhoñ se jaarī lahū huā

    har sānehe pe aañkh yuuñ rotī rahī ki bas

    'tāhir' liyā na bhuul ke jiine naam bhī

    aise basar hamārī huī zindagī ki bas

    waqt-e-sahar ek aisi uThi raushni ki bas

    jis aankh ne bhi dekha yun chundhiya gai ki bas

    ji bhar ke is ke baad kiya raqs maut ne

    jage huon ko subh ko nind aa gai ki bas

    wahshat mere mizaj ka hissa na ban saki

    purwaiyan sameT ke kahne lagi ki bas

    mujh pe karam to hota raha rab ka bar bar

    ba-wasf us ke sharm jo aati rahi ki bas

    bil-aKHir apni aankhon se jari lahu hua

    har sanehe pe aankh yun roti rahi ki bas

    'tahir' liya na bhul ke jine ka nam bhi

    aise basar hamari hui zindagi ki bas

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now