waqt-e-uftad kyon nahin aai
vaqt-e-uftād kyoñ nahīñ aa.ī
lab pe fariyād kyoñ nahīñ aa.ī
maiñ tere shahr se bhī guzrā thā
phir tirī yaad kyoñ nahīñ aa.ī
ġhair to aa.e kāñdhā dene ko
apnī aulād kyoñ nahīñ aa.ī
mere par kāTte hue tujh ko
maut sayyād kyoñ nahīñ aa.ī
dasht-e-majnūñ thā dil koī lailā
karne ābād kyoñ nahīñ aa.ī
vo to be-shak 'amīn' the tujh meñ
ḳhū-e-ajdād kyoñ nahīñ aa.ī
waqt-e-uftad kyon nahin aai
lab pe fariyaad kyon nahin aai
main tere shahr se bhi guzra tha
phir teri yaad kyon nahin aai
ghair to aae kandha dene ko
apni aulad kyon nahin aai
mere par kaTte hue tujh ko
maut sayyaad kyon nahin aai
dasht-e-majnun tha dil koi laila
karne aabaad kyon nahin aai
wo to be-shak 'amin' the tujh mein
KHu-e-ajdad kyon nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.