waqt ek sang ko shahkar bhi kar sakta hai
waqt ek sang ko shahkar bhi kar sakta hai
Muhammad Shakeel Akhtar
MORE BYMuhammad Shakeel Akhtar
vaqt ik sang ko shahkār bhī kar saktā hai
bikne vaale ko ḳharīdār bhī kar saktā hai
dāvat-e-‘ishq kī bejā na karo nā-qadrī
ye 'amal 'ishq ko bezār bhī kar saktā hai
gosha-e-lab hai tabassum kī qabā oḌhe hue
vo kisī dil ko giraftār bhī kar saktā hai
ik vo manzil jo taḌaptī ho lipaTne ke liye
ik musāfir hai jo inkār bhī kar saktā hai
hausla chāhe to rātoñ meñ ugā de sūraj
dhuup meñ sāya-e-dīvār bhī kar saktā hai
ulfateñ jiine kā aayā hai salīqa mujh meñ
ab masīhā mujhe bīmār bhī kar saktā hai
waqt ek sang ko shahkar bhi kar sakta hai
bikne wale ko KHaridar bhi kar sakta hai
dawat-e-‘ishq ki beja na karo na-qadri
ye 'amal 'ishq ko bezar bhi kar sakta hai
gosha-e-lab hai tabassum ki qaba oDhe hue
wo kisi dil ko giraftar bhi kar sakta hai
ek wo manzil jo taDapti ho lipaTne ke liye
ek musafir hai jo inkar bhi kar sakta hai
hausla chahe to raaton mein uga de suraj
dhup mein saya-e-diwar bhi kar sakta hai
ulfaten jine ka aaya hai saliqa mujh mein
ab masiha mujhe bimar bhi kar sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.