waqt ka aap bhi har haal mein pichha kije
vaqt kā aap bhī har haal meñ pīchhā kiije
varna baiThe hue taqdīr ko kosā kiije
aap alfāz ke ḳhanjar ko na pheñkā kiije
dil pe kyā guzregī ye bhī zarā sochā kiije
jab bhī pechīda guzargāhoñ se guzrā kiije
kis tarah log badal jaate haiñ dekhā kiije
apnī barbād mohabbat kā na charchā kiije
ḳhud ko duniyā kī nigāhoñ meñ na rusvā kiije
apne siine se usūloñ ko lagā.e rakhiye
haañ zamāne ke taqāzoñ ko bhī samjhā kiije
zindagī chain se guzregī yaqīnan ai 'ziyā'
pahle jiine kā salīqa bhī to sīkhā kiije
waqt ka aap bhi har haal mein pichha kije
warna baiThe hue taqdir ko kosa kije
aap alfaz ke KHanjar ko na phenka kije
dil pe kya guzregi ye bhi zara socha kije
jab bhi pechida guzargahon se guzra kije
kis tarah log badal jate hain dekha kije
apni barbaad mohabbat ka na charcha kije
KHud ko duniya ki nigahon mein na ruswa kije
apne sine se usulon ko lagae rakhiye
han zamane ke taqazon ko bhi samjha kije
zindagi chain se guzregi yaqinan ai 'ziya'
pahle jine ka saliqa bhi to sikha kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.