waqt ka kuchh ruka sa dhaara hai
vaqt kā kuchh rukā sā dhārā hai
tum ne shāyad mujhe pukārā hai
tum na aaoge ye bhī hai ma.alūm
chand yādoñ kā bas sahārā hai
un kī yādoñ ke chand phūloñ se
chaman-e-tāza dil hamārā hai
aaj ham ne to de ke jaañ apnī
zindagī terā qarz utārā hai
un kī nazroñ ne zaḳhm-e-dil ko mire
mundamil kar ke phir ubhārā hai
log kahte haiñ us ko bhī shabnam
sar-e-mizhgāñ jo ik sitārā hai
phir bhī hāsil sukūñ nahīñ 'aslam'
umr bhar hasratoñ ko maarā hai
waqt ka kuchh ruka sa dhaara hai
tum ne shayad mujhe pukara hai
tum na aaoge ye bhi hai malum
chand yaadon ka bas sahaara hai
un ki yaadon ke chand phulon se
chaman-e-taza dil hamara hai
aaj hum ne to de ke jaan apni
zindagi tera qarz utara hai
un ki nazron ne zaKHm-e-dil ko mere
mundamil kar ke phir ubhaara hai
log kahte hain us ko bhi shabnam
sar-e-mizhgan jo ek sitara hai
phir bhi hasil sukun nahin 'aslam'
umr bhar hasraton ko mara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.