waqt ka kya hai ki wo dushman-e-jaani hai bahut
vaqt kā kyā hai ki vo dushman-e-jānī hai bahut
tum ne dekhī hai jo tasvīr purānī hai bahut
be-sukūñ lamhe bikharte hue yādoñ ke nuqūsh
yahī ik-ādh mohabbat kī nishānī hai bahut
jaane kis samt ye ḳhushiyoñ ko bahā le jaa.e
in dinoñ dard ke dariyā meñ ravānī hai bahut
Duub jaane kā mujhe ḳhauf satātā kyoñ hai
qad hī chhoTā hai mirā aur na paanī hai bahut
is umaDte hue dariyā se raqābat kī havas
kaun mānegā ki kashtī ye purānī hai bahut
waqt ka kya hai ki wo dushman-e-jaani hai bahut
tum ne dekhi hai jo taswir purani hai bahut
be-sukun lamhe bikharte hue yaadon ke nuqush
yahi ik-adh mohabbat ki nishani hai bahut
jaane kis samt ye KHushiyon ko baha le jae
in dinon dard ke dariya mein rawani hai bahut
Dub jaane ka mujhe KHauf satata kyon hai
qad hi chhoTa hai mera aur na pani hai bahut
is umaDte hue dariya se raqabat ki hawas
kaun manega ki kashti ye purani hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.