waqt ka kya hai taqaza nahin dekha jata
vaqt kā kyā hai taqāzā nahīñ dekhā jaatā
ishq meñ adnā-o-a.alā nahīñ dekhā jaatā
ek hī vaqt meñ mil jaa.e to pīchhā chhūTe
zindagī bhar kā sulagnā nahīñ dekhā jaatā
ye shab-o-roz ye mausam ye badalte manzar
rāt-din kā ye tamāshā nahīñ dekhā jaatā
aa.ina dekh ke ham ḳhud ko na pahchān sake
apne chehre kā bikharnā nahīñ dekhā jaatā
jaane hālāt hameñ aur dikhā.eñ kyā kyā
nasl-e-nau kā ye bahaknā nahīñ dekhā jaatā
sho.abada-bāz siyāsat se to baaz aa.e ham
kyā kareñ ham se dikhāvā nahīñ dekhā jaatā
'shauq' us ḳhvāb kī ta.abīr milī hai aisī
ab koī ḳhvāb suhānā nahīñ dekhā jaatā
waqt ka kya hai taqaza nahin dekha jata
ishq mein adna-o-ala nahin dekha jata
ek hi waqt mein mil jae to pichha chhuTe
zindagi bhar ka sulagna nahin dekha jata
ye shab-o-roz ye mausam ye badalte manzar
raat-din ka ye tamasha nahin dekha jata
aaina dekh ke hum KHud ko na pahchan sake
apne chehre ka bikharna nahin dekha jata
jaane haalat hamein aur dikhaen kya kya
nasl-e-nau ka ye bahakna nahin dekha jata
shoabada-baz siyasat se to baz aae hum
kya karen hum se dikhawa nahin dekha jata
'shauq' us KHwab ki tabir mili hai aisi
ab koi KHwab suhana nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.