waqt ka pahiya chala aur raat gahri ho gai
vaqt kā pahiya chalā aur raat gahrī ho ga.ī
shaam aa.ī din Talā aur raat gahrī ho ga.ī
itnā raushan thā badan maiñ din hī rahtā thā mudām
be-sabab hī dil jilā aur raat gahrī ho ga.ī
āḳhirī dīdār thā tayyār thā jis ke liye
aisā mushkil marhala aur raat gahrī ho ga.ī
jāgne vaale na the jo dekhte us kī chamak
niiñd sab kā mashġhala aur raat gahrī ho ga.ī
maiñ use kahne hī vaalā thā ujālā thā abhī
kar bhalā so ho bhalā aur raat gahrī ho ga.ī
raat to pahle se thī jab baap sā sūraj na thā
chāñd sā bhaa.ī Dhalā aur raat gahrī ho ga.ī
pī nahīñ sakte the paanī dekh to sakte the ham
ek to ye karbalā aur raat gahrī ho ga.ī
us taraf tūfān aayā aur din lambā huā
ham par aayā zalzala aur raat gahrī ho ga.ī
sun rahe ho jaise hī abyaz ne 'asvad' se kahā
pur karo merā ḳhalā aur raat gahrī ho ga.ī
waqt ka pahiya chala aur raat gahri ho gai
sham aai din Tala aur raat gahri ho gai
itna raushan tha badan main din hi rahta tha mudam
be-sabab hi dil jila aur raat gahri ho gai
aaKHiri didar tha tayyar tha jis ke liye
aisa mushkil marhala aur raat gahri ho gai
jagne wale na the jo dekhte us ki chamak
nind sab ka mashghala aur raat gahri ho gai
main use kahne hi wala tha ujala tha abhi
kar bhala so ho bhala aur raat gahri ho gai
raat to pahle se thi jab bap sa suraj na tha
chand sa bhai Dhala aur raat gahri ho gai
pi nahin sakte the pani dekh to sakte the hum
ek to ye karbala aur raat gahri ho gai
us taraf tufan aaya aur din lamba hua
hum par aaya zalzala aur raat gahri ho gai
sun rahe ho jaise hi abyaz ne 'aswad' se kaha
pur karo mera KHala aur raat gahri ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.