waqt ka sans bhi tufan ka Thahraw lage
vaqt kā saañs bhī tūfān kā Thahrāv lage
is kaḌī rut meñ kahāñ TuuTī huī naav lage
har nafas ruuh meñ ik zahr-bharā ghaav lage
har sadā chīḳhte alfāz kā pathrāv lage
ḳhema-zan hogī usī jā pe savārī gul kī
ai sabā dasht meñ phir ḳhuun kā chhiḌkāv lage
phir se tajdīd-e-sitam kī na.ī sūrat niklī
had se badlā huā ahbāb kā bartāv lage
log kahte haiñ vafā jins-e-girāñ-māya hai
shahr meñ le to chaleñ dekh leñ kyā bhaav lage
har adā us kī 'zafar' jū-e-ravāñ kī mānind
dil meñ jhāñkūñ to samandar kā sā phailāv lage
waqt ka sans bhi tufan ka Thahraw lage
is kaDi rut mein kahan TuTi hui naw lage
har nafas ruh mein ek zahr-bhara ghaw lage
har sada chiKHte alfaz ka pathraw lage
KHema-zan hogi usi ja pe sawari gul ki
ai saba dasht mein phir KHun ka chhiDkaw lage
phir se tajdid-e-sitam ki nai surat nikli
had se badla hua ahbab ka bartaw lage
log kahte hain wafa jins-e-giran-maya hai
shahr mein le to chalen dekh len kya bhaw lage
har ada us ki 'zafar' ju-e-rawan ki manind
dil mein jhankun to samandar ka sa phailaw lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.