waqt ka sail-e-rawan sham-o-sahar hain hum log
vaqt kā sail-e-ravāñ shām-o-sahar haiñ ham log
jis kī manzil nahīñ koī vo safar haiñ ham log
ham se mil kar bhī zamāna nahīñ vāqif ham se
ahl-e-dānish ke hijābāt-e-nazar haiñ ham log
zindagī kitne añdheroñ se ibārat hai magar
zulmatoñ ke liye paiġhām-e-sahar haiñ ham log
istilāh-e-rah-o-manzil meñ na DhūñDo ham ko
rahrav-e-manzil-e-be-rāhguzar haiñ ham log
kho.e kho.e se shab-o-roz ke hañgāmoñ meñ
kis ko mālūm ki kis vaqt kidhar haiñ ham log
apnī be-nāmvarī vaj.h-e-garāñ-qadrī hai
haath lag jaa.eñ to anmol guhar haiñ ham log
ham ko samjhoge to duniyā ko samajh pāoge
hama-tan vaqt kī ḳhāmosh nazar haiñ ham log
ham se qaa.em haiñ bahāreñ chaman-e-hastī kī
lekin apne liye ik zaḳhm-e-jigar haiñ ham log
husn-e-kirdār ko aslāf ke jab dekhte haiñ
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ki kidhar haiñ ham log
kyā yaqīn aa.e zamāne ke badal jaane kā
kal bhī the aaj bhī nashtar-ba-jigar haiñ ham log
ārzū-ḳhez ho jo vaz.a-e-kam-āmezī se
'shauq' vo raushnī-e-fikr-o-nazar haiñ ham log
waqt ka sail-e-rawan sham-o-sahar hain hum log
jis ki manzil nahin koi wo safar hain hum log
hum se mil kar bhi zamana nahin waqif hum se
ahl-e-danish ke hijabaat-e-nazar hain hum log
zindagi kitne andheron se ibarat hai magar
zulmaton ke liye paigham-e-sahar hain hum log
istilah-e-rah-o-manzil mein na DhunDo hum ko
rahraw-e-manzil-e-be-rahguzar hain hum log
khoe khoe se shab-o-roz ke hangamon mein
kis ko malum ki kis waqt kidhar hain hum log
apni be-namwari wajh-e-garan-qadri hai
hath lag jaen to anmol guhar hain hum log
hum ko samjhoge to duniya ko samajh paoge
hama-tan waqt ki KHamosh nazar hain hum log
hum se qaem hain bahaaren chaman-e-hasti ki
lekin apne liye ek zaKHm-e-jigar hain hum log
husn-e-kirdar ko aslaf ke jab dekhte hain
kuchh samajh mein nahin aata ki kidhar hain hum log
kya yaqin aae zamane ke badal jaane ka
kal bhi the aaj bhi nashtar-ba-jigar hain hum log
aarzu-KHez ho jo waza-e-kam-amezi se
'shauq' wo raushni-e-fikr-o-nazar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.