waqt ka zalim andhera chha gaya tadbir par
vaqt kā zālim añdherā chhā gayā tadbīr par
bas kahāñ chaltā hai kuchh insān kā taqdīr par
yaas meñ Duubī haiñ āñkheñ aur pazhmurda se lab
aap dekheñge to hañs deñge mirī tasvīr par
aap ke maktūb se zaḳhmoñ ke lab phir khul ga.e
shukriya-sad-shukriya is shoḳhi-e-tahrīr par
maiñ agar mahfil meñ us kī ho gayā rusvā to kyā
aap to ḳhush ho ga.e ai dost is tahqīr par
muflisī dīvāngī āvārgī merā nasīb
dang huuñ logo suhāne ḳhvāb kī ta.abīr par
maiñ agar bad-nām ho jā.ūñ to merā hai bhalā
kyā milegā tum ko merī muft kī tash.hīr par
dil kī bastī meñ haiñ garche ārzūoñ ke khañDar
phir bhī huuñ 'shahzād' nāzāñ apnī is jāgīr par
waqt ka zalim andhera chha gaya tadbir par
bas kahan chalta hai kuchh insan ka taqdir par
yas mein Dubi hain aankhen aur pazhmurda se lab
aap dekhenge to hans denge meri taswir par
aap ke maktub se zaKHmon ke lab phir khul gae
shukriya-sad-shukriya is shoKHi-e-tahrir par
main agar mahfil mein us ki ho gaya ruswa to kya
aap to KHush ho gae ai dost is tahqir par
muflisi diwangi aawargi mera nasib
dang hun logo suhane KHwab ki tabir par
main agar bad-nam ho jaun to mera hai bhala
kya milega tum ko meri muft ki tashhir par
dil ki basti mein hain garche aarzuon ke khanDar
phir bhi hun 'shahzad' nazan apni is jagir par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.