waqt ke aage sar-e-taslim KHam karte chalo
vaqt ke aage sar-e-taslīm ḳham karte chalo
ik tamāsha hai faqat shādī-o-ġham karte chalo
kyā ḳhabar ye āḳhirī sauġhāt-e-dard-e-'ishq ho
jis qadar bhī ho sake ab aañkh nam karte chalo
zaḳhm-e-dil sar-sabz rakhnā hai to us ko gaah gaah
yād-e-yār-e-mehrbāñ se taaza dam karte chalo
apne chehre ko jhulasne do dahaktī dhuup meñ
haañ ḳhayāl-o-ḳhvāb kā har saaya kam karte chalo
justujū-e-dasht meñ zaa.e' na ho jaa.e junūñ
ho sake to shahr hī meñ ab ke ram karte chalo
waqt ke aage sar-e-taslim KHam karte chalo
ek tamasha hai faqat shadi-o-gham karte chalo
kya KHabar ye aaKHiri saughat-e-dard-e-'ishq ho
jis qadar bhi ho sake ab aankh nam karte chalo
zaKHm-e-dil sar-sabz rakhna hai to us ko gah gah
yaad-e-yar-e-mehrban se taza dam karte chalo
apne chehre ko jhulasne do dahakti dhup mein
han KHayal-o-KHwab ka har saya kam karte chalo
justuju-e-dasht mein zae' na ho jae junun
ho sake to shahr hi mein ab ke ram karte chalo
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 62)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.