waqt ke aaseb se Dar jaen kya
waqt ke aaseb se Dar jaen kya
Abdul Hafeez Khalish Taskini
MORE BYAbdul Hafeez Khalish Taskini
vaqt ke aaseb se Dar jaa.eñ kyā
maut se bhī pahle ham mar jaa.eñ kyā
biich meñ dar aa.e hai merī vafā
tohmateñ us shoḳh ke sar jaa.eñ kyā
farq aadat meñ abhī aayā nahīñ
ham haram mai-ḳhāna ho kar jaa.eñ kyā
ho ga.ī hai kyoñ tumhārī aañkh nam
ham yahāñ kuchh der ruk kar jaa.eñ kyā
zindagī kyā dilkashī kam to nahīñ
aap kī ḳhātir sahī mar jaa.eñ kyā
āj-kal māhaul achchhā ho gayā
dil meñ jo Thānī hai ham kar jaa.eñ kyā
jin meñ un ka qurb hāsil thā 'ḳhalish'
merī āñkhoñ se vo manzar jaa.eñ kyā
waqt ke aaseb se Dar jaen kya
maut se bhi pahle hum mar jaen kya
bich mein dar aae hai meri wafa
tohmaten us shoKH ke sar jaen kya
farq aadat mein abhi aaya nahin
hum haram mai-KHana ho kar jaen kya
ho gai hai kyon tumhaari aankh nam
hum yahan kuchh der ruk kar jaen kya
zindagi kya dilkashi kam to nahin
aap ki KHatir sahi mar jaen kya
aaj-kal mahaul achchha ho gaya
dil mein jo Thani hai hum kar jaen kya
jin mein un ka qurb hasil tha 'KHalish'
meri aankhon se wo manzar jaen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.