waqt ke aazar bata ye saneha kyunkar hua
vaqt ke aazar batā ye sāneha kyūñkar huā
ham ne jis ko ḳhud banāyā vo ḳhudā kyūñkar huā
shor hai har samt aur ik bhiiḌ hai chāroñ taraf
pūchhte ho phir bhī vo ham se judā kyūñkar huā
kartā thā da.avā ḳhudā.ī kā usī se pūchh lo
darmiyān-e-āb-o-ātish rāsta kyūñkar huā
vo nayā kah kar jise dohrā rahā hai baar baar
duniyā hai sadiyoñ se vāqif phir nayā kyūñkar huā
muddatoñ se thā sharīk-e-ġham to phir ai dosto
aaj us ko kyā huā ham se judā kyūñkar huā
aql hairāñ ho rahī hai ishq kī parvāz par
ek pal meñ tai ye āḳhir marhala kyūñkar huā
us kī haisiyyat hai kul kī aur ham sab us ke juzv
vo samundar hai to fitrat se judā kyūñkar huā
taaj tere sar kā jo be-sar huā thā ai 'jamīl'
maiñ huuñ terī ḳhāk-e-pā mujh ko atā kyūñkar huā
rahbaroñ kī rahnumā.ī meñ chale 'mansūr' ham
qāfila phir bhī luTā ye hādisa kyūñkar huā
waqt ke aazar bata ye saneha kyunkar hua
hum ne jis ko KHud banaya wo KHuda kyunkar hua
shor hai har samt aur ek bhiD hai chaaron taraf
puchhte ho phir bhi wo hum se juda kyunkar hua
karta tha dawa KHudai ka usi se puchh lo
darmiyan-e-ab-o-atish rasta kyunkar hua
wo naya kah kar jise dohra raha hai bar bar
duniya hai sadiyon se waqif phir naya kyunkar hua
muddaton se tha sharik-e-gham to phir ai dosto
aaj us ko kya hua hum se juda kyunkar hua
aql hairan ho rahi hai ishq ki parwaz par
ek pal mein tai ye aaKHir marhala kyunkar hua
us ki haisiyyat hai kul ki aur hum sab us ke juzw
wo samundar hai to fitrat se juda kyunkar hua
taj tere sar ka jo be-sar hua tha ai 'jamil'
main hun teri KHak-e-pa mujh ko ata kyunkar hua
rahbaron ki rahnumai mein chale 'mansur' hum
qafila phir bhi luTa ye hadisa kyunkar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.