waqt ke be-Dhab raston par aur ulTi sidhi chaal mein KHush
vaqt ke be-Dhab rastoñ par aur ulTī sīdhī chaal meñ ḳhush
dekho kaise rahte haiñ ham duniyā ke janjāl meñ ḳhush
jaane vaalā saal to phir bhī jaise-taise biit gayā
is duniyā ko rakhnā maulā aane vaale saal meñ ḳhush
ik manzar kī shādābī ne yuuñ ham ko ḳhush-rang kiyā
mausam mausam phirte haiñ aur rahte haiñ har haal meñ ḳhush
marg-e-mohabbat aur is ke asbāb pe āḳhir ro.e kaun
vo bhī ḳhud meñ mast magan hai maiñ bhī apne haal meñ ḳhush
tum māñge kā resham pahno aish karo haañ lekin ham
ḳhud-dārī kī phaTī-purānī ek akelī shaal meñ ḳhush
ik bachche kī aañkh meñ jaise raushan ho ma.asūm ḳhushī
bilkul aise hote haiñ ham aap ke istiqbāl meñ ḳhush
waqt ke be-Dhab raston par aur ulTi sidhi chaal mein KHush
dekho kaise rahte hain hum duniya ke janjal mein KHush
jaane wala sal to phir bhi jaise-taise bit gaya
is duniya ko rakhna maula aane wale sal mein KHush
ek manzar ki shadabi ne yun hum ko KHush-rang kiya
mausam mausam phirte hain aur rahte hain har haal mein KHush
marg-e-mohabbat aur is ke asbab pe aaKHir roe kaun
wo bhi KHud mein mast magan hai main bhi apne haal mein KHush
tum mange ka resham pahno aish karo han lekin hum
KHud-dari ki phaTi-purani ek akeli shaal mein KHush
ek bachche ki aankh mein jaise raushan ho masum KHushi
bilkul aise hote hain hum aap ke istiqbaal mein KHush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.