waqt ke chehre pe ek gahri nazar rakhta tha wo

waqt ke chehre pe ek gahri nazar rakhta tha wo
Zaki Tariq Barabankavi
MORE BYZaki Tariq Barabankavi
vaqt ke chehre pe ik gahrī nazar rakhtā thā vo
thā to dīvāna magar sab kī ḳhabar rakhtā thā vo
us kī himmat ḳhud thī us ke 'azm kī ā.īna-dār
saath meñ apne sadā gard-e-safar rakhtā thā vo
mujh ko us ke jhuuT ko sach maan lenā hī paḌā
guftugū meñ apnī is darja asar rakhtā thā vo
qaid thā muTThī meñ us kī māh-o-aḳhtar kā jahāñ
dastaras apnī ‘urūj-e-‘arsh par rakhtā thā vo
vaqt-e-āḳhir jo paḌā thā shahr ke fōtpath par
log to kahte the apne paas ghar rakhtā thā vo
khodtā rahtā thā aksar jis se fikroñ ke pahāḌ
paas aisā tesha-e-'ilm-o-hunar rakhtā thā vo
phīke paḌ jaate the us ke qahqahoñ se dard-o-ġham
apne siine meñ 'zakī' aisā jigar rakhtā thā vo
waqt ke chehre pe ek gahri nazar rakhta tha wo
tha to diwana magar sab ki KHabar rakhta tha wo
us ki himmat KHud thi us ke 'azm ki aaina-dar
sath mein apne sada gard-e-safar rakhta tha wo
mujh ko us ke jhuT ko sach man lena hi paDa
guftugu mein apni is darja asar rakhta tha wo
qaid tha muTThi mein us ki mah-o-aKHtar ka jahan
dastaras apni ‘uruj-e-‘arsh par rakhta tha wo
waqt-e-aKHir jo paDa tha shahr ke footpath par
log to kahte the apne pas ghar rakhta tha wo
khodta rahta tha aksar jis se fikron ke pahaD
pas aisa tesha-e-'ilm-o-hunar rakhta tha wo
phike paD jate the us ke qahqahon se dard-o-gham
apne sine mein 'zaki' aisa jigar rakhta tha wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.