waqt ke hathon majbur hote gae
vaqt ke hāthoñ majbūr hote ga.e
tum kisī se bahut duur hote ga.e
dhuul qadmoñ kī chehre pe kyā mal liyā
aur bhī ham to pur-nūr hote ga.e
is tarah ham ne un ko nakārā ki phir
vo hameñ aur manzūr hote ga.e
jaane kyā chiiz paas un ke aatī rahī
un kī nazroñ se ham duur hote ga.e
merī ġhazloñ meñ naam un kā aatā rahā
dhīre dhīre vo mash.hūr hote rahe
merī yādeñ havā ban ke uḌtī rahīñ
saare qisse bhī kāfūr hote ga.e
un kī yādoñ ne bīmār mujh ko kiyā
aur idhar vo bhī bharpūr hote ga.e
duur rakkhā bahakne se mujh ko magar
aur nashshe meñ ḳhud chuur hote ga.e
jin ko samjhā thā ma.amūlī haiñ zaḳhm ye
'anjanā' vo to nāsūr hote ga.e
waqt ke hathon majbur hote gae
tum kisi se bahut dur hote gae
dhul qadmon ki chehre pe kya mal liya
aur bhi hum to pur-nur hote gae
is tarah hum ne un ko nakara ki phir
wo hamein aur manzur hote gae
jaane kya chiz pas un ke aati rahi
un ki nazron se hum dur hote gae
meri ghazlon mein nam un ka aata raha
dhire dhire wo mashhur hote rahe
meri yaaden hawa ban ke uDti rahin
sare qisse bhi kafur hote gae
un ki yaadon ne bimar mujh ko kiya
aur idhar wo bhi bharpur hote gae
dur rakkha bahakne se mujh ko magar
aur nashshe mein KHud chur hote gae
jin ko samjha tha mamuli hain zaKHm ye
'anjana' wo to nasur hote gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.