waqt ke kan kaun bhar raha hai
vaqt ke kaan kaun bhar rahā hai
vaqt vaise bhī to guzar rahā hai
saal do chaar pīchhe ho ga.e haiñ
aa.ina dekh kar sañvar rahā hai
kaun rahtā hai paar dariyā ke
ye jo paanī hai kyoñ biphar rahā hai
ye udāsī bhī be-sabab to nahīñ
dil kisī justujū meñ mar rahā hai
thaam kar haath merā hāthoñ meñ
baat be-bāt kyoñ mukar rahā hai
duur hī rahiye dūr-tar rahiye
aap se kaun baat kar rahā hai
merā saaya bhī mere saath nahīñ
kyā koī merā ham-safar rahā hai
kitne baune hue haiñ vo sābit
ḳhabt jin kā hamāre sar rahā hai
ek vahshat kā baab ḳhatm huā
ek nashsha thā jo utar rahā hai
waqt ke kan kaun bhar raha hai
waqt waise bhi to guzar raha hai
sal do chaar pichhe ho gae hain
aaina dekh kar sanwar raha hai
kaun rahta hai par dariya ke
ye jo pani hai kyon biphar raha hai
ye udasi bhi be-sabab to nahin
dil kisi justuju mein mar raha hai
tham kar hath mera hathon mein
baat be-baat kyon mukar raha hai
dur hi rahiye dur-tar rahiye
aap se kaun baat kar raha hai
mera saya bhi mere sath nahin
kya koi mera ham-safar raha hai
kitne baune hue hain wo sabit
KHabt jin ka hamare sar raha hai
ek wahshat ka bab KHatm hua
ek nashsha tha jo utar raha hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.