waqt ke sath sath chalne se
vaqt ke saath saath chalne se
ghaav bhar jaate haiñ sañbhalne se
hai jo kuchh bhī hai bas isī pal meñ
baa'd kyā is ke haath malne se
hausloñ se javān rahte haiñ
kyā hameñ 'umr tere Dhalne se
log girgiT ke jaise hote haiñ
baaz aate nahīñ badalne se
rashk dariyā meñ pheñk de 'āzī'
kab mile hai sukūn jalne se
waqt ke sath sath chalne se
ghaw bhar jate hain sanbhalne se
hai jo kuchh bhi hai bas isi pal mein
ba'd kya is ke hath malne se
hauslon se jawan rahte hain
kya hamein 'umr tere Dhalne se
log girgiT ke jaise hote hain
baz aate nahin badalne se
rashk dariya mein phenk de 'azi'
kab mile hai sukun jalne se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.