waqt ke sath wo samjha tha badal jaunga
vaqt ke saath vo samjhā thā badal jā.ūñgā
hijr kī aag meñ lagtā hai ki jal jā.ūñgā
tū mire hāl-e-shikasta se pareshān na ho
thoḌā tanhā.ī meñ ro lūñgā sañbhal jā.ūñgā
maiñ tire ishq kī dīvār kā kachchā rang huuñ
tez bārish na sahūñgā maiñ nikal jā.ūñgā
rāt-bhar jalne jalāne kī sazā de mujh ko
yā ki sūraj tū banā de mujhe Dhal jā.ūñgā
maiñ huuñ ik aa.ina par gard jamī hai mujh par
terī sohbat meñ rahūñgā to ujal jā.ūñgā
maiñ ne āñkhoñ meñ chhupā.e haiñ tirī yaad ke ġham
tū mire sāmne aaya to machal jā.ūñgā
waqt ke sath wo samjha tha badal jaunga
hijr ki aag mein lagta hai ki jal jaunga
tu mere haal-e-shikasta se pareshan na ho
thoDa tanhai mein ro lunga sanbhal jaunga
main tere ishq ki diwar ka kachcha rang hun
tez barish na sahunga main nikal jaunga
raat-bhar jalne jalane ki saza de mujh ko
ya ki suraj tu bana de mujhe Dhal jaunga
main hun ek aaina par gard jami hai mujh par
teri sohbat mein rahunga to ujal jaunga
main ne aankhon mein chhupae hain teri yaad ke gham
tu mere samne aaya to machal jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.