waqt ke zer-o-zabar mein nahin rakkha jata
waqt ke zer-o-zabar mein nahin rakkha jata
Dipak Prajapati Khaalis
MORE BYDipak Prajapati Khaalis
vaqt ke zer-o-zabar meñ nahīñ rakkhā jaatā
mustaqil zehn ko Dar meñ nahīñ rakkhā jaatā
jis meñ manzil hī mile chhāle vaġhaira na mile
paañv us rāhguzar meñ nahīñ rakkhā jaatā
is liye bhī tujhe apnā na banāyā ham ne
shāhzādī ko khañDar meñ nahīñ rakkhā jaatā
dekhtā huuñ jo ghar apnā to ye aatā hai ḳhayāl
itnī tanhā.ī ko ghar meñ nahīñ rakkhā jaatā
varna ḳhargosh ko kachhvā bhī harā detā hai
shauq-e-ārām safar meñ nahīñ rakkhā jaatā
ham ne rakkhe haiñ ka.ī dost bhī dushman jaise
sab se ye zaḳhm jigar meñ nahīñ rakkhā jaatā
waqt ke zer-o-zabar mein nahin rakkha jata
mustaqil zehn ko Dar mein nahin rakkha jata
jis mein manzil hi mile chhaale waghaira na mile
panw us rahguzar mein nahin rakkha jata
is liye bhi tujhe apna na banaya hum ne
shahzadi ko khanDar mein nahin rakkha jata
dekhta hun jo ghar apna to ye aata hai KHayal
itni tanhai ko ghar mein nahin rakkha jata
warna KHargosh ko kachhwa bhi hara deta hai
shauq-e-aram safar mein nahin rakkha jata
hum ne rakkhe hain kai dost bhi dushman jaise
sab se ye zaKHm jigar mein nahin rakkha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.