waqt KHud-sar hai sada apni hi man-mani kare
vaqt ḳhud-sar hai sadā apnī hī man-mānī kare
bahtā dariyā aag kar de aag ko paanī kare
TuuT hī jaa.e ilāhī ye jumūd-e-be-amāñ
aag barsā.e falak dariyā hī tuġhyānī kare
bachchoñ kī sī ḳhvāhishoñ meñ umr saarī kaT ga.ī
tiir se chāhā thā zaḳhmoñ kī nigahbānī kare
jis meñ baaqī rah ga.ī hai terī thoḌī sī mahak
zindagī us ek lamhe meñ hī zindānī kare
dasht-e-be-pāyāñ meñ ik tanhā musāfir huuñ 'sabā'
jaane merā hashr kyā ġhaull-e-bayābānī kare
waqt KHud-sar hai sada apni hi man-mani kare
bahta dariya aag kar de aag ko pani kare
TuT hi jae ilahi ye jumud-e-be-aman
aag barsae falak dariya hi tughyani kare
bachchon ki si KHwahishon mein umr sari kaT gai
tir se chaha tha zaKHmon ki nigahbani kare
jis mein baqi rah gai hai teri thoDi si mahak
zindagi us ek lamhe mein hi zindani kare
dasht-e-be-payan mein ek tanha musafir hun 'saba'
jaane mera hashr kya ghaull-e-bayabani kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.