waqt ki aag se shoalon se sharar se ho kar
vaqt kī aag se sho.aloñ se sharar se ho kar
bārhā guzrā huuñ is rāhguzar se ho kar
rāh-e-dil is liye pāmāl nazar aatī hai
nit-na.ī ḳhvāhisheñ jaatī haiñ idhar se ho kar
isī baa.is nahīñ hotā hai ta.ajjub in pe
hādse guzre haiñ sab merī nazar se ho kar
itnā ma.alūm rahe shorish-e-hastī tujh ko
kashtī-e-zīst bhī niklī hai bhañvar se ho kar
jo abhī tak mire hoñToñ pe nahīñ aa.ī thī
vo duā lauT bhī aa.ī tire dar se ho kar
apne aape meñ nahīñ aaya hai pahroñ 'rāhat'
jab bhī dil lauTā hai ummīd-nagar se ho kar
waqt ki aag se shoalon se sharar se ho kar
barha guzra hun is rahguzar se ho kar
rah-e-dil is liye pamal nazar aati hai
nit-nai KHwahishen jati hain idhar se ho kar
isi bais nahin hota hai tajjub in pe
hadse guzre hain sab meri nazar se ho kar
itna malum rahe shorish-e-hasti tujh ko
kashti-e-zist bhi nikli hai bhanwar se ho kar
jo abhi tak mere honTon pe nahin aai thi
wo dua lauT bhi aai tere dar se ho kar
apne aape mein nahin aaya hai pahron 'rahat'
jab bhi dil lauTa hai ummid-nagar se ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.