waqt ki gardish-e-saffak se Dar lagta hai
vaqt kī gardish-e-saffāk se Dar lagtā hai
kūza-gar mujh ko tire chaak se Dar lagtā hai
ye jalā de na kahīñ mere hī ghar āñgan ko
mujh ko apne ḳhas-o-ḳhāshāk se Dar lagtā hai
sochtā huuñ maiñ akelā na kahīñ ho jā.ūñ
mujh ko ab ḳhud bhī mirī dhaak se Dar lagtā hai
sāda-lauhī meñ ka.ī baar luTe haiñ ham log
ab tirī fitrat-e-chālāk se Dar lagtā hai
kisī tūfān ko ḳhātir meñ nahīñ laatā maiñ
bas tire dīda-e-namnāk se Dar lagtā hai
mudda'ā dil kā to maiñ kab kā bayāñ kar detā
par tirī chashm-e-ġhazabnāk se Dar lagtā hai
waqt ki gardish-e-saffak se Dar lagta hai
kuza-gar mujh ko tere chaak se Dar lagta hai
ye jala de na kahin mere hi ghar aangan ko
mujh ko apne KHas-o-KHashak se Dar lagta hai
sochta hun main akela na kahin ho jaun
mujh ko ab KHud bhi meri dhak se Dar lagta hai
sada-lauhi mein kai bar luTe hain hum log
ab teri fitrat-e-chaalak se Dar lagta hai
kisi tufan ko KHatir mein nahin lata main
bas tere dida-e-namnak se Dar lagta hai
mudda'a dil ka to main kab ka bayan kar deta
par teri chashm-e-ghazabnak se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.