waqt ki kaisi hai raftar tumhein kya malum
vaqt kī kaisī hai raftār tumheñ kyā mā'lūm
kab ye ban jā.egā hathiyār tumheñ kyā mā'lūm
jang patthar se ho laḌnā to baḌī baat nahīñ
phuul se laḌnā hai dushvār tumheñ kyā mā'lūm
Thiik se dekh nahīñ paa.ī hai mā'nī apne
lafz kī aañkh hai bīmār tumheñ kyā mā'lūm
tum charāġh apne jalāne ko ho betāb magar
raushnī hogī giraftār tumheñ kyā mā'lūm
pūchhte ho mujhe tum pyaar kī tāqat kyā hai
chhīn letī hai ye talvār tumheñ kyā mā'lūm
tum ne har phuul ko kuchlā baḌī bedardī se
kaise sīñchā gayā gulzār tumheñ kyā mā'lūm
maanā insān nahīñ tanz se martā 'ātif'
dil to ho jaatā hai mismār tumheñ kyā mā'lūm
waqt ki kaisi hai raftar tumhein kya ma'lum
kab ye ban jaega hathiyar tumhein kya ma'lum
jang patthar se ho laDna to baDi baat nahin
phul se laDna hai dushwar tumhein kya ma'lum
Thik se dekh nahin pai hai ma'ni apne
lafz ki aankh hai bimar tumhein kya ma'lum
tum charagh apne jalane ko ho betab magar
raushni hogi giraftar tumhein kya ma'lum
puchhte ho mujhe tum pyar ki taqat kya hai
chhin leti hai ye talwar tumhein kya ma'lum
tum ne har phul ko kuchla baDi bedardi se
kaise sincha gaya gulzar tumhein kya ma'lum
mana insan nahin tanz se marta 'atif'
dil to ho jata hai mismar tumhein kya ma'lum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.