waqt ki lahron pe chalta kaun hai
vaqt kī lahroñ pe chaltā kaun hai
dhuup ke hamrāh saayā kaun hai
bhuul jaa.eñ jis se mil kar talḳhiyāñ
aap ke nazdīk aisā kaun hai
shaam ke Dhalte hī dastak kis ne dī
ban ke jogī ye bhaTaktā kaun hai
lākhoñ tūfāñ aur tan-e-tanhā koī
dekheñ ab āñkheñ churātā kaun hai
aap ne to kah diyā fursat nahīñ
dil pe jo guzrī hai kahtā kaun hai
dil ne āḳhir faisla de hī diyā
rāste ko ab badaltā kaun hai
phir hamāre zarf kā hai imtihāñ
dekhne vaalā tamāshā kaun hai
waqt ki lahron pe chalta kaun hai
dhup ke hamrah saya kaun hai
bhul jaen jis se mil kar talKHiyan
aap ke nazdik aisa kaun hai
sham ke Dhalte hi dastak kis ne di
ban ke jogi ye bhaTakta kaun hai
lakhon tufan aur tan-e-tanha koi
dekhen ab aankhen churaata kaun hai
aap ne to kah diya fursat nahin
dil pe jo guzri hai kahta kaun hai
dil ne aaKHir faisla de hi diya
raste ko ab badalta kaun hai
phir hamare zarf ka hai imtihan
dekhne wala tamasha kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.