waqt ki rau ko rawani se nikala jae
vaqt kī rau ko ravānī se nikālā jaa.e
chand lamhoñ ko girānī se nikālā jaa.e
mujh ko to khīñch liyā dast-e-junūñ ne lekin
ab mirā 'aks bhī paanī se nikālā jaa.e
muddatoñ us kī raqābat ko sahā hai ham ne
ab ye kirdār kahānī se nikālā jaa.e
zahr-ālūd huī jaatī hai ḳhushbū is se
saañp ko raat kī raanī se nikālā jaa.e
phir huā lashkar-e-fir'aun muqābil 'faisal'
rāsta phir koī paanī se nikālā jaa.e
waqt ki rau ko rawani se nikala jae
chand lamhon ko girani se nikala jae
mujh ko to khinch liya dast-e-junun ne lekin
ab mera 'aks bhi pani se nikala jae
muddaton us ki raqabat ko saha hai hum ne
ab ye kirdar kahani se nikala jae
zahr-alud hui jati hai KHushbu is se
sanp ko raat ki rani se nikala jae
phir hua lashkar-e-fir'aun muqabil 'faisal'
rasta phir koi pani se nikala jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.