waqt ki shakl mein chalta hai jo suraj hi to hai
vaqt kī shakl meñ chaltā hai jo sūraj hī to hai
raat ko din meñ badaltā hai jo sūraj hī to hai
haiñ ayaañ ret ke dariyāo meñ partav us ke
qatra-e-āb meñ Dhaltā hai jo sūraj hī to hai
ġhaiz ye kis kā hai paanī ke azāboñ meñ nihāñ
kohsāroñ ko nigaltā hai jo sūraj hī to hai
chehra-e-sub.h bhī vo shaam bhī vo raat bhī vo
roz lamhoñ meñ pighaltā hai jo sūraj to hai
chaudhvīñ shab ko ujāloñ se sajā detā hai kaun
ban ke mahtāb nikaltā hai jo sūraj hī to hai
raushnī hī to har ik ziist kā masdar hai 'mirāq'
bin dikhe sāñsoñ meñ jaltā hai jo sūraj hī to hai
waqt ki shakl mein chalta hai jo suraj hi to hai
raat ko din mein badalta hai jo suraj hi to hai
hain ayan ret ke dariyao mein partaw us ke
qatra-e-ab mein Dhalta hai jo suraj hi to hai
ghaiz ye kis ka hai pani ke azabon mein nihan
kohsaron ko nigalta hai jo suraj hi to hai
chehra-e-subh bhi wo sham bhi wo raat bhi wo
roz lamhon mein pighalta hai jo suraj to hai
chaudhwin shab ko ujalon se saja deta hai kaun
ban ke mahtab nikalta hai jo suraj hi to hai
raushni hi to har ek zist ka masdar hai 'miraq'
bin dikhe sanson mein jalta hai jo suraj hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.