waqt ki wusat mein raushan har nishan suraj ka hai
vaqt kī vus.at meñ raushan har nishāñ sūraj kā hai
har zamīñ sūraj kī hai har āsmāñ sūraj kā hai
us ke harf-o-lafz meñ poshīda hai rāz-e-hayāt
tā-qayāmat rahne vaalā armuġhān sūraj kā hai
zindagī kī har kahānī hai ujāloñ se juḌī
kahkashāñ ātish-fishāñ aur shā.egāñ sūraj kā hai
in sulagte parbatoñ meñ dekhiye us ke nuqūsh
haiñ sharāre bhī usī ke aur dhuāñ sūraj kā hai
haiñ usī ke rang bikhre āsmāñ-dar-āsmāñ
aur zamīñ kī god meñ ganj-e-ravāñ sūraj kā hai
vo miTā de yā karā de paar sahrā ke 'mirāq'
maiñ to huuñ mahv-e-safar ab imtihāñ sūraj kā hai
waqt ki wusat mein raushan har nishan suraj ka hai
har zamin suraj ki hai har aasman suraj ka hai
us ke harf-o-lafz mein poshida hai raaz-e-hayat
ta-qayamat rahne wala armughan suraj ka hai
zindagi ki har kahani hai ujalon se juDi
kahkashan aatish-fishan aur shaegan suraj ka hai
in sulagte parbaton mein dekhiye us ke nuqush
hain sharare bhi usi ke aur dhuan suraj ka hai
hain usi ke rang bikhre aasman-dar-asman
aur zamin ki god mein ganj-e-rawan suraj ka hai
wo miTa de ya kara de par sahra ke 'miraq'
main to hun mahw-e-safar ab imtihan suraj ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.