waqt kitni rasai dene laga
vaqt kitnī rasā.ī dene lagā
maiñ bhī un ko dikhā.ī dene lagā
ek āvāz 'aks paane lagī
ek manzar sunā.ī dene lagā
ab to ye silsila-e-shab TuuTe
har sitāra duhā.ī dene lagā
tīrgī kyā hai raushnī kyā hai
ab hameñ sab sujhā.ī dene lagā
us ke ġham se qarār thā dil ko
us kā ġham bhī rihā.ī dene lagā
jab se āñkhoñ pe bāñdh lī paTTī
mujh ko kyā kyā dikhā.ī dene lagā
waqt kitni rasai dene laga
main bhi un ko dikhai dene laga
ek aawaz 'aks pane lagi
ek manzar sunai dene laga
ab to ye silsila-e-shab TuTe
har sitara duhai dene laga
tirgi kya hai raushni kya hai
ab hamein sab sujhai dene laga
us ke gham se qarar tha dil ko
us ka gham bhi rihai dene laga
jab se aankhon pe bandh li paTTi
mujh ko kya kya dikhai dene laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.