waqt ne har-waqt hi zer-o-zabar jari rakha
vaqt ne har-vaqt hī zer-o-zabar jaarī rakhā
ham ne bhī har haal meñ apnā safar jaarī rakhā
mujh ko kaTh-putlī banā kar raqs karvātī rahī
zindagī ne ye tamāsha umr bhar jaarī rakhā
uñgliyoñ se aa rahī hai aaj bhī ḳhushbū tirī
jādūī sī is chhuvan ne hai asar jaarī rakhā
jaane kitne pattharoñ se choT kī ham ne magar
peḌ ne phir bhī hameñ denā samar jaarī rakhā
mushkiloñ ke daur meñ bhī hausla chhoḌā nahīñ
aable talvoñ meñ the phir bhī safar jaarī rakhā
yuuñ to āvāra-mizājī meñ kabhī ham kam na the
phir bhī ham ne lauT aanā apne ghar jaarī rakhā
kaise kahte haiñ mukammal sher yā umda ġhazal
sīkhnā 'agyāt' ne ilm-o-hunar jaarī rakhā
waqt ne har-waqt hi zer-o-zabar jari rakha
hum ne bhi har haal mein apna safar jari rakha
mujh ko kaTh-putli bana kar raqs karwati rahi
zindagi ne ye tamasha umr bhar jari rakha
ungliyon se aa rahi hai aaj bhi KHushbu teri
jadui si is chhuwan ne hai asar jari rakha
jaane kitne pattharon se choT ki hum ne magar
peD ne phir bhi hamein dena samar jari rakha
mushkilon ke daur mein bhi hausla chhoDa nahin
aable talwon mein the phir bhi safar jari rakha
yun to aawara-mizaji mein kabhi hum kam na the
phir bhi hum ne lauT aana apne ghar jari rakha
kaise kahte hain mukammal sher ya umda ghazal
sikhna 'agyat' ne ilm-o-hunar jari rakha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.